Kab Tak Bolo Chipi Rahogi Lyrics | Naya Sansar | Renuka Devi, Ashok Kumar | Saraswati Devi, Ramchandra Pal

Kab Tak Bolo Chipi Rahogi Lyrics | Naya Sansar | Renuka Devi, Ashok Kumar | Saraswati Devi, Ramchandra Pal

Kab tak bolo chhipi rahogi
O meri aasha
Maine padh li aaj tumhaare
Naino ki bhasha
Kab tak bolo chhipi rahogi
O meri aasha
Maine padh li aaj tumhaare
Naino ki bhasha

Tumne kya dekha aankho me
Ek rangin bahaar
Tumne kya dekha aankho me
Ek naya sansaar
Tumne kya dekha aankho me
Ek rangin bahaar
Tumne kya dekha aankho me
Ek naya sansaar
Jaan gayi main aaj
Tumhaare man ki abhilasha
Jaan gayi main aaj
Tumhaare man ki abhilasha
O meri aasha
Maine padh li aaj tumhaare
Naino ki bhasha
O meri aasha
Maine padh li aaj tumhaare
Naino ki bhasha

Aaj tumhaari aankho ne kah di laakho baaten
Aaj tumhaari aankho ne kah di laakho baaten
Ab to sone ke din honge chaandi ki raaten
Ab to sone ke din honge chaandi ki raaten
Tumne palbhar me samjha di
Prem ki paribhasha
Tumne palbhar me samjha di
Prem ki paribhasha
O meri aasha
Maine padh li aaj tumhaare
Naino ki bhasha
O meri aasha
Maine padh li aaj tumhaare
Naino ki bhasha

Kab tak bolo chhipi rahogi
O meri aasha
Maine padh li aaj tumhaare
Naino ki bhasha
Kab tak bolo chhipi rahogi
O meri aasha
Maine padh li aaj tumhaare
Naino ki bhasha

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *