Dile Naadaan Jamaane Me Lyrics | Mast Kalandar | Talat Mahmood, Asha Bhosle | Hansraj Behl

Dile Naadaan Jamaane Me Lyrics | Mast Kalandar | Talat Mahmood, Asha Bhosle | Hansraj Behl

Dil-e-nadan jamane me mohabbat ek dhokha hai
Yeh sab kahne ki baate hain
Kisi ka kaun hota hai

Wahi mai hu
Wahi dil hai
Wahi teri tamanna hai
Yeh ik iljam hai mujhpe
Ki mera pyaar jhutha hai
Wahi mai hu

Vafa ka naam hontho par
Hai khanjar aastino me
Vafa ka naam hontho par
Hai khanjar aastino me
Samajh lo dekhane vaalo yeh duniya kaisi duniya hai
Dil-e-nadan

Woh dil viran hai jisme hajaaro aarjuye thi
Woh dil viran hai jisme hajaaro aarjuye thi
Jaha lakho diye jalte the us ghar me andhera hai
Wahi mai hu

Woh dil par chot khaayi hai ki jite ji na bhulunga
Woh dil par chot khaayi hai ki jite ji na bhulunga
Bharosa kar ke tum pe maine apna chain khoya hai
Dil-e-nadan jamane me mohabbat ek dhokha hai
Yeh sab kahne ki baate hain
Kisi ka kaun hota hai
Dil-e-nadan

Wahi mai hu
Wahi dil hai
Wahi teri tamanna hai
Yeh ik iljam hai mujhpe
Ki mera pyaar jhutha hai
Wahi mai hu

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *