Baita Hun Raho Me Lyrics | Love And God | Mohammed Rafi | Naushad

Baita Hun Raho Me Lyrics | Love And God | Mohammed Rafi | Naushad

Ya habibi ya habibi ya habibi
Mai baitha hu raho me aankhe bichaye
Fariste masarat ka paygam laye
Mohabbat chali hai mohabbat se milne
Kaho maut se jindagi ban ke aaye
Tamanna thi jiski wo din aa gaya hai
Mere saaz-e-dil ki yahi ab sada hai
Mohabbat khuda hai
Mohabbat khuda hai
Mohabbat khuda hai
Mohabbat khuda hai

Kahta hai koi dil gaya dilbar chala gaya
Saahil pukarta hai samundar chala gaya
Lekin jo baat sach hai kahta nahi koi
Dunia se dosti ka payambar chala gaya

Kahu kya mohabbat me kya maine paya
Ummido se bhi kuch siwa maine paya
Khudi ki hade mil gayi bekhudi se
Teri aarzu me khuda maine paya
Khuda maine paya
Jidhar dekha tu tera samna hai
Mere saaz-e-dil ki yahi ab sada hai
Mohabbat khuda hai
Mohabbat khuda hai
Mohabbat khuda hai
Mohabbat khuda hai

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *