Aansu Abb Tum Kabhee Naa Bahana Lyrics | Kaafila | Lata Mangeshkar | Husnlal Bhagatram

Aansu Abb Tum Kabhee Naa Bahana Lyrics | Kaafila | Lata Mangeshkar | Husnlal Bhagatram

Aansu abb tum kabhi naa bahna
Aansu abb tum kabhi naa bahna
Apna dard kisi se naa kahana
Apna dard kisi se naa kahana
Aansu abb tum kabhi naa bahna

Dil kaa lahu jab aankho me aaye
Aansu bankar dhalka jaye
Log lahu ko pani samajhe
Log lahu ko pani samajhe
Tum palako me chhupke rahana
Aansu abb tum kabhi naa bahna
Apna dard kisi se naa kahana
Aansu abb tum kabhi naa bahna

Prit ke sapne
Sapna ho gaye
Maut ki nind me araman so gaye
Angaro ki mala pahanu
Lut gaya sukh suhag kaa gahna
Aansu abb tum kabhi naa bahna
Apna dard kisi se naa kahana
Aansu abb tum kabhi naa bahna

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *