Jala kar aag dil me
Zindagi barbad karte hai
Na hanste hai
Na rote hai
Na kuch fariyad karte hai
Jala kar aag
Ummede hasrato armaan
Sab dafna liye dil me
Liye barbadiyo ab
Ranj-o-ghum aabad karte hai
Na hanste hai
Na rote hai
Na kuch fariyad karte hai
Jala kar aag
Rahe majburiya apni
Rahe bardaiya apni
Hum apne aashiya ko
Aap hi barbad karte hai
Na hanste hai
Na rote hai
Na kuch fariyad karte hai
Jala kar aag
Nahi apni koi manjil
Kaha jaye
Kidhar jaye
Sahara maut ka hai
Maut ko ab yaad karte hai
Na hanste hai
Na rote hai
Na kuch fariyad karte hai
Jala kar aag

