Man saajan ne har linaa
Aur tan duniya ne chhinaa
Bhala kaho ab kaise baje
Bina taar ke bina
Jo main jaanati bisarat hain sainyaa – 2
Ghunghataa mein aag lagaa deti – 2
Main laaj ke bandhan tod sakhi – 2
Piyaa pyaare ko apane manaa leti – 2
(mere haar-singaar ki raat gayi
Piyu sang umang meri aaj gayi) – 2
Ghar aaye naa more saanvariyaa – 2
Main to tan-man unape o
Main to tan-man unape lutaa deti
Jo main jaanati
(mohe prit ki rit naa bhaayi sakhi
Main banake dulhan pachhataayi sakhi) – 2
Hoti naa agar duniyaa ki sharam – 2
Unhen bhej ke patiyaan o
Unhen bhej ke patiyaan bulaa leti
Jo main jaanati

