Nazar Utha Ke Yeh Rangeen Sama Lyrics | Ek Saal Pehle | Talat Mahmood, Asha Bhosle | C Arjun

Nazar Utha Ke Yeh Rangeen Sama Lyrics | Ek Saal Pehle | Talat Mahmood, Asha Bhosle | C Arjun

Nazar utha ke ye rangin sama rahe na rahe
Karib aa ke ye mausam jawan rahe na rahe
Zamana aaj hai kal meharban rahe na rahe
Nazar utha ke ye rangin sama rahe na rahe

Karib aao to kambakht dil dhadakta hai karib aao
Karib aao to kambakht dil dhadakta hai
Kadam kadam pe koi jaise mujhko takta hai
Ye raaz tere mere darmiya rahe na rahe
Zamana aaj hai kal meharban rahe na rahe
Nazar utha ke ye rangin sama rahe na rahe

Dilo me rang nigaho me roshni bhar le
Dilo me rang nigaho me roshni bhar le
Zara si der to bahon me zindagi bhar le
Zara si der to bahon me zindagi bhar le
Kise khabar hai ke hum kal yaha rahe na rahe
Zamana aaj hai kal meharban rahe na rahe
Karib aa ke ye mausam jawan rahe na rahe

Khile hai phool dilo ke khuli hawao me
Khile hai phool
Khile hai phool dilo ke khuli hawao me
Basi rahegi ye khushboo sada fizao me
Zamin rahe na rahe aasman rahe na rahe
Zamana aaj hai kal meharban rahe na rahe

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *