Aaj Ki Kaali Ghataa, Mast-Mast Aali Ghataa Lyrics | Uski Kahani | Geeta Dutt | Kanu Roy

Aaj Ki Kaali Ghataa, Mast-Mast Aali Ghataa Lyrics | Uski Kahani | Geeta Dutt | Kanu Roy

Aaj ki kaali ghata
Mast matwali ghata
Aaj ki kaali ghata
Mast matwali ghata
Mujhse kahti hain ki pyasa hain koi
Kaun pyasa hain
Mujhe kya malum

Pyas ke naam se jee darta hain
Is iljaam se jee darta hain
Shauk-e-badnaam se jee darta hain
Mithi najro mein samaya hain koi
Kyu samaya hain
Mujhe kya malum
Aaj ki kaali ghata
Mast matwali ghata
Mujhse kahti hain ki pyasa hain koi
Kaun pyasa hain
Mujhe kya malum

Pyasi aankho mein mohabbat leke
Ladkhada jane ki tagat leke
Mujhse bewajah shikayat leke
Dil ki dehleez tak aaya hain koi
Kaun aaya hain
Mujhe kya malum

Kuch maja aane laga jeene mein
Jaag utha dard koi sine mein
Mere ehsaas ke aayine mein
Ik saya najar aata hain koi
Kiska sayaa hain
Mujhe kya malum
Aaj ki kaali ghata
Mast matwali ghata
Mujhse kahti hain ki pyasa hain koi
Kaun pyasa hain
Mujhe kya malum

Zindagi pehle na thhi itni hasin
Aur agar thi to mujhe yaad nahi
Yahi afsana na ban jaye kahin
Kuch nigaho se sunata hain koi
Kya sunata hain
Mujhe kya malum
Aaj ki kaali ghata
Mast matwali ghata
Mujhse kahti hain ki pyasa hain koi
Kaun pyasa hain
Mujhe kya malum

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *