Hamari Hi Mutthi Me Aakash Sara Lyrics | Prahaar | Kavita Krishnamurthy, Manna Dey | Laxmikant Pyarelal

Hamari Hi Mutthi Me Aakash Sara Lyrics | Prahaar | Kavita Krishnamurthy, Manna Dey | Laxmikant Pyarelal

Hamari hi mutthi me aakash sara
Jab bhi khulegi chamkega tara
Hamari hi mutthi me aakash sara
Jab bhi khulegi chamkega tara
Kabhi naa dhale jo
Vo hi sitara
Disha jis se pahchane sansar sara
Hamari hi mutthi me aakash sara
Jab bhi khulegi chamkega tara
Hamari hi mutthi me aakash sara
Jab bhi khulegi chamkega tara

Hatheli pe rekhaaye hai sab adhuri
Kisne likhi hai nahi janna hai
Hatheli pe rekhaaye hai sab adhuri
Kisne likhi hai nahi janna hai
Sulajhane un o na aayega koi
Samajhana hai unko
Ye apna karam hai
Apne karam se dikhaana hai sab ko
Khud ka panapna
Ubharna hai khud ko
Andhera mitaaye jo nanha sharara
Disha jis se pahchane sansar sara
Hamari hi mutthi me aakash sara
Jab bhi khulegi chamkega tara
Hamari hi mutthi me aakash sara
Jab bhi khulegi chamkega tara

Hamare piche koi aaye na aaye
Hame hi to pehle pahuchna vaha hai
Hamare piche koi aaye na aaye
Hame hi to pehle pahuchna vaha hai
Jin par hai chalna nayi pidhiyo ko
Unhi rasto ko banana hame hai
Jo bhi saath aaye unhe saath le le
Agar naa koi saath de to akele
Sulga ke khud ko mita le andhera
Disha jis se pahchane sansar sara
Hamari hi mutthi me aakash sara
Jab bhi khulegi chamkega tara
Kabhi naa dhale jo
Vo hi sitara
Disha jis se pahchane sansar sara
Hamari hi mutthi me aakash sara
Jab bhi khulegi chamkega tara

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *