Yeh Qismat Hai Kya Janta Hai Vohi Jamane Me Hai Jiski Kismat Buri (sad) Lyrics | Ghar Ka Chiraag | Mohammed Aziz | Bappi Lahiri

Yeh Qismat Hai Kya Janta Hai Vohi Jamane Me Hai Jiski Kismat Buri (sad) Lyrics | Ghar Ka Chiraag | Mohammed Aziz | Bappi Lahiri

Har dua ek baddua kyu ban gayi
Pal me yaha
Bewafa kismat bhi
Uth gaya sar se aasma

Ye kismat hai kya
Jaanta hai wahi
Zamane me hai jiski kismat buri

Aadmi khud ko insa bana na saka
Apni kismat banayega kya aadmi
Ye kismat hai kya
Jaanta hai wahi
Zamane me hai jiski kismat buri

Ye kismat hai karti ajab faisle
Yaha milke sab kuch bhi
Kuch na mile
Bhatkti hai yu darbadar zindagi
Ke marke bhi insan
Mar na sake
Ye kismat hai kya
Jaanta hai wahi
Zamane me hai jiski kismat buri

Ek thokar lagi
Tuta sara nasha
Ab hai jana kaha
Kuch nahi hai pata
Laake kismat ne chhoda hai
Kis mod par
Jo musafir tha khud
Ban gaya raasta
Ye kismat hai kya
Jaanta hai wahi
Zamane me hai jiski kismat buri
Aadmi khud ko insa bana na saka
Apni kismat banayega kya aadmi

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *