Gulcharrey, Jebo Me Bhare Lyrics | Bewakoofiyaan | Aditi Singh Sharma, Benny Dayal | Raghu Dixit

Gulcharrey, Jebo Me Bhare Lyrics | Bewakoofiyaan | Aditi Singh Sharma, Benny Dayal | Raghu Dixit

Ae
Fikro ki puncho pe hai patakho ki ladi
Fitrat patang jaisi aawara hai badi
Hum me to hi hai bacchu auqat enth ki
Pango se pange le le dikhaaye hekdi
Saare chichoro ko hum hi sikhate hai
Aisho ki kunji
Likhate padhate
Noto ki baarish hai
Sikke phuware hai
Bhiga hai saara jahan
Jebo me bhare gulcharey
Raisi kare gulcharey
Show sha se bhare gulcharey
Tadi se ude gulcharey
Ude gulcharey

Ae
Sapno ke poster wa bhai din me bhi dikhte hai
Satrangi packeto me market me bikte hai
Apna bas chale to ham bhaari si sale pe
Chanda taare na chhod e woh bhi kharid le
Betuki bato ki tuk hum bana lenge
Hum to ji gham ki bhi khilli uda lenge
Hum na akele hai apni ye sazish me
Shaamil hai sara jahan
Jebo me bhare gulcharey
Raisi kare gulcharey
Show shaa se bhare gulcharey
Tadi se ude gulcharey
Ude gulcharey

Kal ki hum abhi soche kyun jine ko ye pal kaafi hai
Jo din hai humne dekha nahi uspe hum kyun bharosa kare
Sabhi ko chhodo sab chutki me milta hai
Nudle ke jaise sab minto me pakta hai
Dum bhar ki khushiya hai pal bhar me milti hai
Maang ke dekho zara
Jebo me bhare gulcharey
Raisi kare gulcharey
Show sha se bhare gulcharey
Tadi se ude gulcharey
Ude gulcharey

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *