Mujhse naraz ho to ho jaao
Khud se lekin khafa-khafa na raho
Mujhse tum dur jaao to jaao
Aap apne se tum juda na raho
Mujhse naraz ho to ho jaao
Khud se lekin khafa-khafa na raho
Mujhse naraz ho to ho jaao
Mujhpe chaahe yaki karo na karo
Mujhpe chaahe yaki karo na karo
Tumko khud par magar yaki rahe
Sar pe ho aasmaa ya ke na ho
Pair ke niche ye zami rahe
Mujhko tum bewfa kaho to kaho
Mujhko tum bewfa kaho to kaho
Tum magar khud se bewfa na raho
Mujhse naraz ho to ho jaao
Aao ik baat mai kahu tumse
Aao ik baat mai kahu tumse
Jaane phir koi ye kahe na kahe
Tumko apni talaash karni hai
Hamsafar koi bhi rahe na rahe
Tumko apne sahaare jina hai
Tumko apne sahaare jina hai
Dhundhati koi aasra na raho
Mujhse naraz ho to ho jaao
Khud se lekin khafa-khafa na raho
Mujhse tum dur jaao to jaao
Aap apne se tum juda na raho

