Bekhudi Kaa Badaa Sahaaraa Hai Lyrics | Ek Hi Bhool | S P Balasubramaniam | Laxmikant Pyarelal

Bekhudi Kaa Badaa Sahaaraa Hai Lyrics | Ek Hi Bhool | S P Balasubramaniam | Laxmikant Pyarelal

Bekhudi ka bada sahara hai
Bekhudi ka bada sahara hai varna duniya me kya hamara hai
Log marte hai maut aane se
Log marte hai maut aane se hamko is zindagi ne maara hai
Bekhudi ka bada sahara hai

Aadami kuchh bhi kar nahi sakta
Aadami kuchh bhi kar nahi sakta
Vaqt aisa guzar nahi sakta
Vaqt aisa magar guzaara hai
Bekhudi ka bada sahara hai varna duniya me kya hamara hai
Bekhudi ka bada sahara hai

Kitni halki hai kitni bojhil hai
Kitni halki hai kitni bojhil hai
Koyi aurat nahi ye botal hai
Band isme jahan saara hai
Bekhudi ka bada sahara hai varna duniya me kya hamara hai
Bekhudi ka bada sahara hai

Is muqaddar ka ye sitam dekho
Is muqaddar ka ye sitam dekho
Dubte ja rahe hai ham dekho aur vo samne kinara hai
Bekhudi ka bada sahara hai varna duniya me kya hamara hai
Log marte hai maut aane se hamko is zindagi ne maara hai
Bekhudi ka bada sahara hai

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *