Chhod Babul Ka Ghar Mohe Pi Ke Nagar Aaj Jana Pada – I Lyrics | Babul | Shamshad Begum, Talat Mahmood | Naushad

Chhod Babul Ka Ghar Mohe Pi Ke Nagar Aaj Jana Pada – I Lyrics | Babul | Shamshad Begum, Talat Mahmood | Naushad

Chhod babul kaa ghar mohe pi ke nagar aaj jana pada
Chhod babul kaa ghar mohe pi ke nagar
Aaj jana pada o aaj jana pada
Chhod babul kaa ghar mohe pi ke nagar aaj jana pada

Sang sakhiyo ke bachapan bitati thi mai ha bitati thi mai
Byah gudiyo kaa hans hans rachati thi mai ha rachati thi mai
Sab se munh mod kar kya batau kidhar
Dil lagana pada o aaj jana pada
Chhod babul ka ghar mohe pi ke nagar aaj jana pada
Chhod babul ka ghar mohe pi ke nagar aaj jana pada

Yaad maayike ki dil se bhulaye chali ha bhulaaye chali
Preet man saajan ki bsaye chali ha bsaaye chali
Yaas kar ke ye ghar royi aankhe magar muskurana pada
Aaj jaan pada
Chhod babul ka ghar mohe pi ke nagar aaj jana pada
Chhod babul ka ghar mohe pi ke nagar aaj jana pada
Chhod babul ka ghar mohe pi ke nagar aaj jana pada

Chhod babul ka ghar mohe pi ke nagar aaj jana pada
Aaj jaan pada pahan ulfat ka gahana dulhan ye chali
Dola aaya piya ka sakhi main chali
Pi ka chhuta nagar isliye chhikar mohe jaana pada
Aaj jaan pada

Aao saajan khade hai dwaar lene ko aaye tuhaar doli mein
Jaane ko ho jaa taiyar

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *