Bujha diye hai khud apne haatho
Mohabbato ke diye jala ke
Meri vafa ne ujaad di hai
Ummid ki bastiya basa ke
Tujhe bhula denge apne dil se
Ye faisla to kiya hai lekin
Na dil ko maalum hai na ham ko
Na dil ko maalum hai na ham ko
Jiyege kaise tujhe bhula ke
Bujha diye hai khud apne haatho
Mohabbato ke diye jala ke
Kabhi milege jo raste me
To munh phira kar palat padenge
Kabhi milege jo raste me
To munh phira kar palat padenge
Kahi sunege jo naam tera
Kahi sunege jo naam tera
To chup rahenge nazar jhuka ke
Na sochne par bhi sochti hu
Ke zindagaani me ky rahega
Na sochne par bhi sochti hu
Ke zindagaani me kyaa rahega
Teri tamanna ko bas me kar ke
Tere khayaalo se door jake
Bujha diye hai khud apne haatho
Mohabbato ke diye jala ke

