Bedardi Balma Tujhko Mera Maan Yaad Karta Hai Lyrics | Arzoo | Lata Mangeshkar | Shankar Jaikishan

Bedardi balma tujhko mera mann yad karta hai

Barasta hai jo aankho se wo sawan yad karta hai

Kabhi ham sath gujare jin sajili reh gujaro se
Fiza ke bhes me girte hain abb patte chanaro se
Yeh rahe yad karti hain
Yeh gulshan yad karta hai
Bedardi balma tujhko mera mann yad karta hai
Barasta hai jo aankho se wo sawan yad karta hai
Bedardi balma tujhko mera mann yad karta hai

Koyi jhonka hawa ka jab mera aanchal udata hai
Guman hota hai jaise tu mera daman hilata hai
Kabhi chuma tha jo tune wo daaman yad karta hai
Bedardi balma tujhko mera mann yad karta hai
Barasta hai jo aankho se wo sawan yad karta hai
Bedardi balma tujhko mera mann yad karta hai

Wo hi hain jhil ke mandar wo hi kirno ki barsaate
Jaha ham tum kiya karte the paharo pyar ki bate
Tujhe iss jheel ka kamosh darpan yad karta hai
Bedardi balma tujhko mera mann yad karta hai
Barasta hai jo aankho se wo sawan yad karta hai
Bedardi balma tujhko mera mann yad karta hai

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *