Tujhe jivan ki dor se
Baadh liyaa hai
Baadh liyaa hai
Tere zulmo-sitam
Sar aankho par
Maine badle me pyaar ke
Pyaar diyaa hai
Pyaar diyaa hai
Teri khushiyaan aur gam
Sar aankho par
Tujhe jivan ki dor se
Baadh liyaa hai
Baadh liyaa hai
Tere zulmo-sitam
Sar aankho par
Apsra koi aaye to dekhun nahi
Koi bahkaaye haske to bahkun nahi
Apsra koi aaye to dekhun nahi
Koi bahkaaye haske to bahkun nahi
Tore matavare naino ne
Jaadu kiyaa
O tore matavare naino ne
Jaadu kiyaa
Teri ulfat sanam sar aankho par
Maine badle me pyaar ke
Pyaar diyaa hai
Pyaar diyaa hai
Teri khushiyaan aur gam
Sar aankho par
Mere jivan ki anmit kahaani hai tu
Meri taqadir aur zindgaani hai tu
Mere jivan ki anmit kahaani hai tu
Meri taqadir aur zindgaani hai tu
Liye firate hai sabse chhupaaye hue
O liye firate hai sabse chhupaaye hue
Teri tasavir hum sar aankho par
Tujhe jivan ki dor se
Baadh liyaa hai
Baadh liyaa hai
Tere zulmo-sitam
Sar aankho par
Chand suraj bhi hai teri parchhaiyaan
Tujhse roshan hui dil ki gehraaiyaan
Chand suraj bhi hai teri parchhaiyaan
Tujhse roshan hui dil ki gehraaiyaan
Tere chehre ki jhilmil se manjil mili
O tere chehre ki jhilmil se manjil mili
Aisi pyaari punam sar aankho par
Maine badle me pyaar ke
Pyaar diyaa hai
Pyaar diyaa hai
Teri khushiyaan aur gam
Sar aankho par
Tujhe jivan ki dor se
Baadh liyaa hai
Baadh liyaa hai
Tere zulmo-sitam
Sar aankho par
Tujhe jivan ki dor se
Baadh liyaa hai
Baadh liyaa hai
Tere zulmo-sitam
Sar aankho par

