Saanvariyaa Saanvariyaa Lyrics | Swades | Alka Yagnik | A R Rahman

Saanvariyaa Saanvariyaa Lyrics | Swades | Alka Yagnik | A R Rahman

Saawariya saawariya mai to hui baawariya
Tune man moh liya saawariya ho
Saawariya saawariya mai to hui baawariya
Tune man moh liya saawariya ho
Uljha saa ye man hai
Sulga sa ye tan hai
Sapno ka saavan hai
Naino ka aangan hai
Chhalke man gaagariya saawariya ho
Saawariya ho
Saawariya saawariya mai to hui baawariya
Tune man moh liya saawariya ho

Jo tu yu paas aaya hai
Jo tu yu dil pe chhaya hai
To maine kya paya hai kaise kahu ha
Kahi dhadkan ki kaliya hai
Kahi sapno ki galiya hai
Jo man me rangraliya hai kaise kahu
Tu jo mujhe aise bahkaaye
Kabhi kabhi mujhe to badi laaj si aaye
Bhuli hu mai jaise apni dagriya
Jab se hai dekhi maine prem-nagariya
Prem-nagariya
Saawariya saawariya mai to hui baawariya
Tune man moh liya saawariya hoa

Tu jo mila mujhe to ye sara sama badal gaya
Khilane lage phul se meri raah me
Phir yu laga mujhe ki ye dharti nai hui
Naya ambar hua teri aur meri chaah me
Chanchal hawa tarana koi gaaye
Nadiya bhi koi kahani kahti jaaye
Jabse mili sajna tujhse najriya
Kho gai hai sudh-budh ki mujhse gathriya
Saawariya saawariya
Saawariya saawariya mai to hui baawariya
Tune man moh liya saawariya ho

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *