Hmmm…,
Jaan-e-bahaaraan rashk-e-chaman,
Guncha dahan seemen badan,
Ae jaan-e-man,
Jaan-e-bahaaraan rashk-e-chaman,
Guncha dahan seemen badan,
Ae jaan-e-man jaan-e-bahaaraan,
Jannat ki hoorein tujhpe fida,
Raftaar jaise mauj-e-saba,
Rangeen ada tauba shikan,
Ae jaan-e-man jaan-e-bahaaraan,
Jaan-e-bahaaraan rashk-e-chaman,
Guncha dahan seemen badan,
Rangeen ada tauba shikan,
Jaan-e-bahaaraan o jaan-e-man,
Jaan-e-bahaaraan o jaan-e-man,
Nazron ne teri kiya hai sitam,
Quas-e-quzah ki yeh rangeeniyan,
Jaadu kiya hai yeh tune sanam,
Tauba hai tauba teri ada,
Uski inaayat husn tera,
Rangeen jamaal nazuk badan,
Gulperahan Sawr-e-chaman,
Jaan-e-bahaaraan o jaan-e-man,
Shamun-e-farozan ankhein teri,
Har ek nazar mein jaadugari,
Zulfein teri mushk-e-khutan,
Ae jaan-e-man jaan-e-bahaaraan,
Haan….,
Ae naazparwar naazaafareen,
Lakhon haseen hain tujhsa nahi,
Khandah jabeen sheereh sukhan,
Ae jaan-e-man ae jaan-e-man,
Guncha dahan seemen badan,
Rangeen ada tauba shikan,
Har ek nazar mein hai jaadugari,
Zulfein teri mushk-e-khutan,
Ae naazparwar naazaafareen,
Lakhon haseen hain tujhsa nahi,
Khandah jabeen sheereh sukhan,
Ae jaan-e-man ae jaan-e-man…,

