Tum darshan hum naina rama
Tum darshan hum naina
Tum darshan hum naina rama
Tum darshan hum naina
Kaushalya ki kokh se tumne janam liya hai aise
Sukh samridhi ki ganga ko mukh se janme jaise
Ganga janme jaise
Sarju ke tat jhoom ke gaaye pal pal aaj badhayi
Jug jug ankhiya tarsi hai
Tab ghadi yeh pawan aayi
Mil gaya mann ko chaina rama
Tum darshan hum naina
Tum darshan hum naina rama
Tum darshan hum naina
Hum jeevan hain tum mukti
Hum maruthal tum jal ki dhar
Hum swati ki boond hain rama
Tum karuna ka sindhu apar
Tum karuna ka sindhu apar
Hum deepak tum jyoti
Hum santan hai tum ho palanhar
Hum asha vishwas ho tum
Hum jhanjhar hain tum jhunkar
Tum suraj hum raina rama
Tum darshan hum naina
Tum darshan hum naina rama
Tum darshan hum naina

