Din Kabhi Paani Hota Lyrics | Prague | Chandan Roy Sanyal, Elena Kazan | Atif Afzal, Nikhil Paul George | Atif Afzal

Din kabhi paani hota
Raat kabhi kashti hoti
Shamein milati donon ko jalke
Shamein alag karti unko jalke

Jee liye maine hissey baarishon ke
Kha liye maine dhakke khwahishon ke
Yahan bhi wahan bhi doosrey jahaan bhi
Pyaar ki aankh mein haar kul jama bhi
Har jagah ud chala
Bekhabar ye parinda dil ka

Reshmi chaand pe tooti ke kaanch pe
Tez si saas ki aakhri aanch pe
Har jagah ud chala
Besabar ye parinda dil ka

Mann ke jaisa khaali hota
Aansu jaisa jaali hota
Mitti jaisa apna hota
Subah jaisa sapna hota
Din kabhi pani hota.

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *