Tumase kahuu.n ik baat paro.n sii halkii-halkii
Raat merii hai chha.nv tumhaare hii aa.nchal kii
Halkii-halkii
(soii galiyaa.n baa.nh pasaare aa.nkhe.n miiche ) 2
Mai.n duniyaa se duur ghanii palako.n ke niiche
Dekhuu.n chalate kwaab lakiiro.n par kaajal kii
Tumase kahuu.n …
( dhu.ndhalii- dhu.ndhalii rain milan kaa bistar jaise ) 2
Khulataa chhupataa chaa.nd sej ke uupar jaise
Chalatii phiratii khaat hawaao.n par baadal kii
Tumase kahuu.n …
( hai bhiigaa saa jism tumhaaraa in haatho.n me.n ) 2
Baahar nii.nd bharaa pa.nchhii bhiigii shaakho.n me
Aur barakhaa kii buu.nd badan se dhalkii-dhalkii
Tumase kahuu.n …

