Man Mein Mere Angaare Hain Lyrics  | Malti Madhav | Anant Marathe, Durga Khote | Lata Mangeshkar, Sudhir Phadke | Sudhir Phadke

Man Mein Mere Angaare Hain Lyrics | Malti Madhav | Anant Marathe, Durga Khote | Lata Mangeshkar, Sudhir Phadke | Sudhir Phadke

Chhabi teri madhur madhur pyaare
Par aansoo mere khaare hain
Nainon se bahe jal ki dhaaraa
Man mein mere angaare hain
Man mein mere angaare hain
Man mein mere angaare hain
Man mein mere angaare hain

Aasha ke pallav sookh gaye
Aasha ke pallav sookh gaye
Kumhlaayi sapnon ki kaliyaan
Kal milan murli kaa baji jahaan
Sooni man madhuwan ki galiyaan
Sooni nainon ke gagan beech
Ye aansoo bhor ke taare hain
Man mein mere angaare hain
Man mein mere angaare hain
Man mein mere angaare hain

Jab chaah na poori honi thhi
Jab chaah na poori honi thhi
Di chaah milan ki kyun man ko
Yoon jeenaa hai to jeene kaa
Adhikaar diyaa kyun jeewan ko
Kab ghadi maran ki aayegi
Ye vikal praan path haare hain
Man mein mere angaare hain
Man mein mere angaare hain
Man mein mere angaare hain
Nainon se bahe jal ki dhaaraa
Man mein mere angaare hain
Man mein mere angaare hain.

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *