Yeh afsana nahi jalim mere dil ki hakikat hai
Mujhe tumse mohabbat hai
Mujhe tumse mohabbat hai
Yeh afsana nahi jalim mere dil ki hakikat hai
Lagi hai aag sine me nahi kuchh lutf jine me
Najar kuchh kah nahi sakti
Kahe bin rah nahi sakti
Tumhe kayonkar mai samajhau
Mujhe tumse mohabbat hai
Yeh afsana nahi jalim mere dil ki hakikat hai
Machalti hain tamannaye kahi rusuva na ho jaye
Kahi rusuva na ho jaye
Musibat uljhane dil ki
Kayamat dhadakane dil ki
Tumhe kayonkar mai samajhau
Mujhe tumse mohabbat hai
Yeh afsana nahi jalim mere dil ki hakikat hai
Na jiti hu na marti hu
Kalish mehsus karti hu
Kahi aisa na ho jaye kali khilate hi murjhaye
Tumhe kayonkar mai samajhau
Mujhe tumse mohabbat hai
Yeh afsana nahi jalim mere dil ki hakikat hai

