Tum Beshara Ho To Kisi Ka Sahara Bano – II Lyrics | Anurodh | Manna Dey | Laxmikant Pyarelal

Tum Beshara Ho To Kisi Ka Sahara Bano – II Lyrics | Anurodh | Manna Dey | Laxmikant Pyarelal

Tum besahara ho to kisi ka sahara bano
Tum ko apne aap hi sahara mil jayega
Kashti koyi dubati pahuncha do kinare pe
Tum ko apne ap hi kinara mil jayega
Tum besahara ho to kisi ka sahara bano
Tum besahara ho to

Hans kar jinda rehna padta hai
Apna dukh khud sehna padta hai
Rasta chahe kitna lamba ho
Dariya ko to behna padta hai
Tum ho ek akele to ruk mat jao chalo niklo
Raste me koyi sathi tumhara mil jayega
Tum besahara ho to kisi ka sahara bano
Tum besahara ho to

Na basti me na virano me
Na kheto me na khalihano me
Na milta hai pyar bazaaro me
Na bikta hai chain dukano me
Dhundh rahe ho tum jisko
Usko bahar mat dhundho
Mann ke andar dhundho pritam pyara mil jayega
Tum besahara ho to kisi ka sahara bano
Tum besahara ho to

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *