Chaandi Ke Chand Tukadon Ke Lie Lyrics | Satta Bazaar | Hemant Kumar | Kalyanji Anandji

Chaandi Ke Chand Tukadon Ke Lie Lyrics | Satta Bazaar | Hemant Kumar | Kalyanji Anandji

Chandi ke chand tukado ke liye iman ko becha jata hai
Iman ko becha jata hai
Chandi ke chand tukado ke liye iman ko becha jata hai
Iman ko becha jata hai

Yaha aisi bhi kuchh kaliya hai jo na bole na muh khole
Yaha aisi bhi kuchh kaliya hai jo na bole na muh khole
Daulat ke tarazu me inko khud seechne wale hi tole
Saiyado ki is basti me anjan ko becha jata hai
Anjan ko becha jata hai
Chandi ke chand tukado ke liye iman ko becha jata hai
Iman ko becha jata hai

Har chiz ka sauda hota hai
Har chiz yaha pe bikati hai
Har chiz ka sauda hota hai
Har chiz yaha pe bikati hai
Dhanvan ke aage nirdhan kya ab sari khudai jhukti hai
Bebas insano ke har ik araman ko becha jata hai
Araman ko becha jata hai
Chandi ke chand tukado ke liye iman ko becha jata hai
Iman ko becha jata hai

Aye malik tune likhi hai patthar ki kalam se taqadire
Aye malik tune likhi hai patthar ki kalam se taqadire
Majbur musabbir bech raha ye khuni jigar ki tasvire
Inasan ke hatho hi ab to inasan ko becha jata hai
Inasan ko becha jata hai
Chandi ke chand tukado ke liye iman ko becha jata hai
Iman ko becha jata hai
Iman ko becha jata hai
Iman ko becha jata hai

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *