Yah Hasarat Thi Ke Is Duniyaa Men Bas Do Kaam Kar Jaate Lyrics | Nausherwan-E-Adil | Mohammed Rafi | Chitalkar Ramchandra

Ye hasrat thi ke is duniya me bas do kaam kar jate

Tumhari yaad me jeete
Tumhare gam me mar jate
Ye hasrat thi ke is duniya me bas do kaam kar jate

Ye duniya dubati tufan aata is qayamat ka
Ha ye duniya dubati tufan aata is qayamat ka
Agar dum bhar ko aankho me meri aansu thahar jate
Ye hasrat thi ke is duniya me bas do kaam kar jate

Tumhari yaad aa aakar mere nashtar chubhoti hai

Mere nashtar chubhoti hai
Magar na dil ke sare zakhm itne din me bhar jate
Magar na dil ke sare zakhm itne din me bhar jate
Ye hasrat thi ke is duniya me bas do kaam kar jate

Kahan tak dukh uthaye
Kahan tak dukh uthaye teri furqat aur judai ke
Teri furqat aur judai ke
Agar marna hi tha ek din
Na kyun phir aaj mar jate
Agar marna hi tha ek din
Na kyun phir aaj mar jate
Ye hasrat thi ke is duniya me bas do kaam kar jate

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *