Ye Hawaa Ye Mastana Mausam, Dil Ko Phir Karar Aaya Lyrics | Akeli mat jaiyo | Mohammed Rafi, Lata Mangeshkar | Madan Mohan

Ye hawa ye mastana mosam dil ko fir karar aaya

Jhum banke e dil diwana tujhpe unko pyar aaya

Ye hawa ye mastana mosam

Lehra ke tera aachal uddta hai rang ban ke

Yu hi dil me aate rahna dil ki umang ban ke
Sun o kali teri gali diwana bar bar aaya
Ye hawa ye mastana mosam dil ko fir karar aaya
Jhum banke e dil diwana tujh pe unko pyar aaya
Ye hawa ye mastana mosam

Kitni hasi hai duniya dekho meri nazar se

Ruk jati hai bahare chalte hai hum jidhar se
Khoyi hui jannat mili aankho ko aitbaar aaya
Jhum banke e dil diwana tujh pe unko pyar aaya
Ye hawa ye mastana mosam dil ko fir karar aaya
Ye hawa ye mastana mosam

Bite vo din ke jab hum manzil ko dhundte the

Dil hum ko dhundta tha hum dil ko dhundte the
Fir dil mile fir gul khile matwalo par khumar aaya
Ye hawa ye mastana mosam dil ko fir karar aaya
Jhum banke e dil diwana tujh pe unko pyar aaya
Ye hawa ye mastana mosam

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *