Nama Gaya Koi Lyrics  | Your Choice | Chitra Singh (Chitra Dutta) | Jagjit Singh

Nama Gaya Koi Lyrics | Your Choice | Chitra Singh (Chitra Dutta) | Jagjit Singh

Nama gaya koi na koi naamabar gaya
Nama gaya koi na koi naamabar gaya
Teri khabar na aai
Teri khabar na aai zamaana guzar gaya
Nama gaya koi na koi naamabar gaya

Hansta hoon yoon ke hijr ki raaten guzar gayin
Hansta hoon yoon ke hijr ki raaten guzar gayin
Rota hoon yoon ke lutf-e-duaayen saher gaya
Teri khabar na aai zamaana guzar gaya
Nama gaya koi na koi naamabar gaya

Ab mujko hai qaraar to sab ko qaraar hai
Ab mujko hai qaraar to sab ko qaraar hai
Dil kya dhahar gaya ke zamaana thahar gaya
Teri khabar na aai zamaana guzar gaya
Nama gaya koi na koi naamabar gaya

Ya rab nahin main waapise rudaad-e-zindagi
Ya rab nahin main waapise rudaad-e-zindagi
Itna hi yaad hai ke jiya aur mar gaya
Teri khabar na aai zamaana guzar gaya
Nama gaya koi na koi naamabar gaya.

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *