Ajab Apna Haal Hota Lyrics  | Rare Gems | Chitra Singh (Chitra Dutta) | Jagjit Singh

Ajab Apna Haal Hota Lyrics | Rare Gems | Chitra Singh (Chitra Dutta) | Jagjit Singh

Ajab apna haal hota
Jo visaal-e-yaar hota
Ajab apna haal hota
Jo visaal-e-yaar hota
Kabhi jaan sadke hoti
Kabhi benisaar hota

Na maza hain dushmani mein,
No hain lutf dosthi mein
Na maza hain dushmani mein,
No hain lutf dosthi mein
Koi ghair-ghair hota
Koi yaar-yaar hota
Koi ghair-ghair hota
Koi yaar-yaar hota

Yeh maza tha dillagi ka,
Ke baraabar aag lagti
Yeh maza tha dillagi ka,
Ke baraabar aag lagti
Na tumhe qaraar hota
Na humen qaraar hota
Na tumhe qaraar hota
Na humen qaraar hota

Tere waade par sitamgar
Abhi aur sabr karte
Tere waade par sitamgar
Abhi aur sabr karte
Agar apni zindagi ka
Hume aitbaar hota
Agar apni zindagi ka
Hume aitbaar hota.

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *