Sawalon Ki Godh Mein Lyrics  | Kaafiron Ki Namaaz | Advait Nemlekar, Najim Arshad | Advait Nemlekar

Sawalon Ki Godh Mein Lyrics | Kaafiron Ki Namaaz | Advait Nemlekar, Najim Arshad | Advait Nemlekar

Sawalon ki godh mein
Soya hua woh nanha sa andhera
Moondi hui aankhon par uski
Abhi haath kisi ne hai chhoda
Makhmal ki ungliyan hai
Suraj ki roshni ka angootha hai

Fay reh gaye hai
Kuch roshni wale
Fay reh gaye hai palko ke tale
Inhe jo nikala gaya toh
Darr hai kahin andhera
Jaag na jaye jaag na jaye
Jaag na jaye ro naa jaye

Khargosh se iske
Naksh giley hue toh
Marghat ke sooney
Mahal ban jayenge
Kamzor si khubani khatta
Jamun ban jayegi
Kamzor si khubani khatta
Jamun ban jayegi

Ise rehne do ise soney do
Bas soney do rehne do
Ise rehne do ise soney do
Bas soney do rehne do
Ghalib ki duniya wali dua hai
Ise rehne do ise soney do.

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *