Do Din Ki Zindagi Lyrics  | Satyakam | Dharmendra, Sharmila Tagore | Lata Mangeshkar | Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal)

Do Din Ki Zindagi Lyrics | Satyakam | Dharmendra, Sharmila Tagore | Lata Mangeshkar | Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal)

Do din ki zindagi, kaisi hai jindagi
Do din ki zindagi, kaisi hai jindagi
Koyi nahi jaane ho o o o…
Bhitar andhera hai, baahar hai roshani
Dekhe na parwaane
Do din ki zindagi, kaisi hai jindagi

Armaan ki basti jaane kaise hai basati
Utani hi suni ho o o o
Utani hi suni jitani chhaayi hai masti
Najaron mein baakpan
Aankhon mein sau chaman
Sine mein viraane
Do din ki zindagi, kaisi hai jindagi

Pehale toh kya kya sapane dikhlaaye duniya
Phir khud hi tuta ho o o o
Phir khud hi tuta sapana ban jaaye duniya
Duniya ki chaah ki nagamon ki aah ki
Jhute hain afsaane
Do din ki zindagi, kaisi hai jindagi o o o….

Phulon ne dekha khil ke murjhaana dil ka
Taaron ne dekha ho o o o
Taaron ne dekha jal ke bujh jaana dil ka
The kal jo meherbaan the kal jo raajdaan
Nikale woh begaane
Do din ki zindagi, kaisi hai jindagi
Hmm hmm hmmm mm mm mmm….

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *