Tod diya dil mera tune are bewafa
Mujhko mere pyar ka khub ye badala diya
Mango khushi gam mile
Kahte hai duniya ise
Hay mai jaun kaha
Ab mai pukaru kise
Ye to bata de zara maine tera kya kiya
Tera kya kiya
Tod diya dil mera
Gam ki ghataye uthi o sari ummide miti
Is bhari duniya me aaj kya mera koi nahi
Kaisa ye tufan utha jag me adhera hua
Adhera hua
Tod diya dil mera
Aarazu nakam hai
Zindagi badnam hai
Dil mera kahta hai ab
Kahta hai ab
Maut hi anjam hai
Maut hi anjam hai
Ghunt le apna gala
Aaj wo din aa gaya
Din aa gaya
Tod diya dil mera tune are bewafa
Mujhko mere pyar ka khub ye badala diya

