Aye Chand Zara Lyrics  | Pyaar Ki Manzil | Rehman, Munawar Sultana | Husnlal Batish, Lata Mangeshkar | Bhagatram Batish, Husnlal Batish

Aye Chand Zara Lyrics | Pyaar Ki Manzil | Rehman, Munawar Sultana | Husnlal Batish, Lata Mangeshkar | Bhagatram Batish, Husnlal Batish

Ae chand zara sun le
Ae chand zara sun le
Chhota sa fasana hai
Chhota sa fasana hai
Tujh par bhi jawaani hai
Tujh par bhi jawaani hai
Apna bhi zamana hai
Apna bhi zamana hai
Ae chand zara sun le

Ek husn ka panaghat par
Ek husn ka panaghat par
Ik husn ki rani thi
Khamosh nigahe thi
Khamosh nigahe thi
Gurabat mein jawaani thi
Khamosh nigaho ka
Kuch hal sunana hai
Ae chand zara sun le
Ae chand zara sun le
Chhota sa fasana hai
Chhota sa fasana hai
Ae chand zara sun le

Anjaan ki nazaro mein
Anjaan ki nazaro mein
Kuch aisi huyi baate
Pahechani huyi jaise
Pahechani huyi jaise
Hoti hai mulakate
Kya dil mein kisi ke tha
Yeh dil ne hi jana hai
Ae chand zara sun le
Ae chand zara sun le
Chhota sa fasana hai
Chhota sa fasana hai
Ae chand zara sun le

Aankhon se humari wo
Aankhon se humari wo
Tasveer nahi jati
Pehle ki tarah hum ko
Pehle ki tarah hum ko
Kyu neend nahi aati
Wo aur zamana tha
Yeh aur zamana hai
Ae chand zara sun le
Ae chand zara sun le
Chhota sa fasana hai
Chhota sa fasana hai
Tujh par bhi jawaani hai
Tujh par bhi jawaani hai
Apna bhi zamana hai
Apna bhi zamana hai
Ae chand zara sun le.

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *