Kasmen Wade Pyar Wafa Sab Baaten Hain Lyrics | Upkar | Manna Dey | Kalyanji Anandji

Kasmen Wade Pyar Wafa Sab Baaten Hain Lyrics | Upkar | Manna Dey | Kalyanji Anandji

Koyi kisi ka nahi ye jhoothhe

Naate hain naato ka kya
Kasme waade pyaar wafaa sab,
Baatein hain baato ka kya

Hoga masiha …
Hoga masiha saamne tere

Phir bhi na tu bach paayega
Tera apna…
Tera apna khoon hi aakhir tujhko aag lagaayega
Aasmaan mein …
Aasmaan me udne waale mitti mein mil jaayega
Kasme waade pyaar wafaa sab
Baatein hain baato ka kya

Sukh mein tere …
Sukh mein tere saath chalenge,
Dukh mein sab mukh modenge
Duniya waale …
Duniya waale tere bankar tera hi dil todenge
Dete hain …
Dete hain bhagwaan ko dhokha,
Insaan ko kya chhod enge
Kasme waade pyaar wafaa sab,
Baatein hain baato ka kya

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *