Ya Sahib-e-quran Lyrics | Kasam Bhawani Ki | Ghulam Ali | Usha Khanna

Ya Sahib-e-quran Lyrics | Kasam Bhawani Ki | Ghulam Ali | Usha Khanna

Allah allah allah allah
Kya dar hai jo har sam musibat ka hai tufaan
Har jaan ka imaan ka hai tu hi nigehvaan
Ya sahib-e-kuraan ya sahib-e-kuraan
Kya dar hai jo har sam musibat ka hai tufaan
Har jaan ka imaan ka hai tu hi nigehvaan
Ya sahib-e-kuraan ya sahib-e-kuraan

Ramjaan-e-mubarak hai ibadat ka mahina
Libaar mahino me hai rahmat ka mahina
Roze ki mere laaj rahe shahe madina
Dube naa kahi mere ummido ka safina
Tu rahmat-e-aalam hai tu rahmat-e-aalam hai
Tu aawaz-e-khuda hai darbaar me tere koi
Chota naa bada hai har daarik tehjib me
Jaahir hai teri shaan ya sahib-e-kuraan
Ya sahib-e-kuraan

Sartaaj-e-haram shaan-e-karam
Fakr-e-risaalat raushan hai falak aur
Jami tere badaulat mashur jahan me hai
Tere dar ki sakhawat
Mujh banda-ae-aasi ki tere hath hai izzat
Har rang me har nur me
Ho har rang me har nur me tu jalwa numa hai
Rutba tera aala hai tu mahbube khuda hai
Irshaad tere lab ka hai allah ka farmaan
Ya sahib-e-kuraan ya sahib-e-kuraan

Majhab hai tera kya tera deen wafa hai
Nafrat ke andhero me ye ulfat ki sada hai
Har jakhm ka marham hai ye har gam ki dawa hai
Har pyas ko sairaab kare ye wo ghata hai
Auro ke dukho me jo auro ke dukho me jo
Pareshan nahi hota wo naam se kuch bhi ho musalma nahi hota
Is naam ka paigam ho hai khidmat-e-insa
Ya sahib-e-kuraan ya sahib-e-kuraan
Kya dar hai jo har sam musibat ka hai tufaan
Har jaan ka imaan ka hai tu hi nigehvaan
Ya sahib-e-kuraan ya sahib-e-kuraan
Ya sahib-e-kuraan ya sahib-e-kuraan
Ya sahib-e-kuraan ya sahib-e-kuraan

MovieKasam Bhawani Ki
SingerGhulam Ali
Music ComposerUsha Khanna
LyricistNida Fazli

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *