Shikva na kar gila na kar
Ye duniya hai pyare
Yaha gam ke mare
Tadapte rahe
Shikva na kar gila na kar
Ye duniya hai pyare
Yaha gam ke mare
Tadapte rahe
Shikva na kar gila na kar
Khiza is gulista me aati rahi hai
Hava sukhe patte udati rahi hai
Yaha phul khil ke
Baharo se mil ke
Bichdte rahe
Shikva na kar gila na kar
Yaha tere ashko ki kimat nahi hai
Rahm karna duniya ki aadat nahi hai
Kisi ne na dekha
Yaha khun ke ansu
Dhalakte rahe
Shikva na kar gila na kar
Yaha ka hai dastur khamosh rahna
Jo guzri hai dil pe kisi se na kahna
Ye din kaat has ke
Yaha log bas ke
Ujdate rahe
Shikva na kar gila na kar
Ye duniya hai pyare
Yaha gam ke mare
Tadapte rahe
Shikva na kar gila na kar
| Movie | Zamin |
| Singer | Mehdi Hassan |
| Music Composer | Wazir Afzal |

