San sanan sanan sanan ja re o pavan
Dur desh leja sandesh jaha mere sajan
Ja re o pavan
Chhu ke charan kehna pavan
Birha agan ab ho na sehen
Tan hai yaha aur praan waha
Meri puja yaha aur bhagwan waha
Ye duri sahe kaise man ki mayuri
Ye duri sahe kaise man ki mayuri
Barste hai naino ke dhan o ho
San sanan sanan sanan ja re o pavan
Din na kate dukh na ghate
Tumse laga nahi dhyan hate
Tufano me hai jalta diya
Ab tum bin jina kathin hai piya
Ya tum chale aao ya mujhko bulao
Karo koi aisa jatan
San sanan sanan sanan ja re o pavan
Dur desh leja sandesh jaha mere sajan
Ja re o pavan
| Movie | Sampoorna Ramayan |
| Singer | Lata Mangeshkar |
| Director | Babubhai Mistri |
| Music Composer | Vasant Desai |
| Lyricist | Bharat Vyas |
| Star Cast | Anita Guha, Mahipal, Helen, Achla Sachdev, Gopi Kishan, Maruti, Sunder, Sulochana, Paul Sharma, Lalita Pawar, Raj Kumar, Krishan Kumari, Anand Kumar, Uma Dutt, Badri Prasad, B M Vyas, Sushil Kumar, Sinha |

