Nazaron Mein Samaane Se Qaraar Lyrics | Hyderabad Ki Nazneen | Rajkumari | Vasant Desai

Nazaron Mein Samaane Se Qaraar Lyrics | Hyderabad Ki Nazneen | Rajkumari | Vasant Desai

Nazro me samane se qaraar aa na sakega
Tum paas nahi dil ko ye bahla na sakega

Tasvir nigaho me khaamosh tumhaari
Jo sun nahi sakti kabhi fariyad hamaari
Ye khali tasavvur kisi kaam aa na sakega
Tum paas nahi dil ko ye bahla na sakega
Nazro me samane se qaraar aa na sakega
Tum paas nahi dil ko ye bahla na sakega

Aayega khayal aake oh oh oh
Aayega khayaal aake guzarta hi rahega
Aahe koi dil thaam ke bharta hi rahega
Taskin ki surat koi batla na sakega
Tum paas nahin dil ko ye bahala na sakega
Nazro me samane se qaraar aa na sakega
Tum paas nahi dil ko ye bahla na sakega

Takaraayenge ham sar kabhi divaar se dar se
Har saans me ublega lahu zakhm-e-jigar se
Dil dhundhega aa aa aa
Dil dhundhega tadpega tumhe pa na sakega
Tum paas nahin dil ko ye bahala na sakega
Nazro me samane se qaraar aa na sakega
Tum paas nahi dil ko ye bahla na sakega

MovieHyderabad Ki Nazneen
SingerRajkumari
DirectorS M Yusuf
Music ComposerVasant Desai
LyricistNoor Lucknowi
Star CastNigar Sultana, Mahar Desai, Ulhas Wasti, Durga Khote, Murad

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *