Na Kisi Ki Aankh Ka Lyrics  | Lal Quila | Jairaj, Nirupa Roy | Mohammed Rafi | S. N. Tripathi

Na Kisi Ki Aankh Ka Lyrics | Lal Quila | Jairaj, Nirupa Roy | Mohammed Rafi | S. N. Tripathi

Na kisi ki aankh ka noor hu
Na kisi ki aankh ka noor hu
Na kisi ke dil ka karar hu
Jo kisi ke kaam na aa sake
Main wo ek mushthe gubar hu
Na kisi ki aankh ka noor hu

Na to main kisi ka habib hu
Na to main kisi ka rakib hu
Jo bigad gaya wo nasib hu
Jo ujad gaya wo dayar hu
Na kisi ki aankh ka noor hu

Mera rang roop bigad gaya
Mera yaar muhjse bichhad gaya
Jo chaman fiza se ujad gaya
Main usi ki fasle bahar hu
Na kisi ki aankh ka noor hu

Pay fatiha koi aaye kyo
Koi char phool chadhaye kyo
Koi aake shamma jalaye kyo
Main wo bekasi ka majar hu
Na kisi ki aankh ka noor hu
Na kisi ke dil ka karar hu
Jo kisi ke kaam na aa sake
Main wo ek mushthe gubar hu
Na kisi ki aankh ka noor hu.

MovieLal Quila
SingerMohammed Rafi
DirectorNanubhai Bhatt
Music ComposerS. N. Tripathi
LyricistBahadur Shah Zafar
Star CastJairaj, Nirupa Roy, Tiwari Kumar, Helen
LabelSaregama

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *