Na aaj tha na kal tha
Koi muskeel thee na hal tha
To phir kya tha
Bus ek phal tha
Yeh phal khana mana hai
Sab unse kahete the
Adam aur hava dono janat main rahete the
Dono ka dil lalchaya us phal ko tod ke khaya
Ek shola sa lahraya
Unmai shaitan samaya
Unko jo hargij na karna tha kar baithe the
Adam aur hava dono janat main rahete teh
Kudrat ko gussa aaya dono pe jurm lagaya
Janat mai rahne wale janat se gae nikala
Upar se ghirey wo eechey
Phal aaya pechey pechey
Un sadiyon ne dam todha
Phal ne peecha na choda
Kahene waley yun unka afsana kahte hain
Adam aur huva ab is duniya main rahte hai
| Movie | Pati Patni Aur Woh |
| Singer | Kishore Kumar |
| Director | B R Chopra |
| Music Composer | Ravindra Jain |
| Lyricist | Anand Bakshi |
| Star Cast | Parveen Babi, Sanjeev Kumar, Vidya Sinha, Ranjeeta, Asrani |

