Mera nanha kanhaiyaa ghar aaya re
Mera nanha kanhaiyaa ghar aaya re
Mera jiyaa sahaj harshaaya re
Mera jiyaa
Mera jiyaa sahaj harshaaya re
Mera nanha kanhaiyaa ghar aaya re
Mera nanha kanhaiyaa
Aaj gagan ne chanda dekha
Aaj phool ne hansna seekhaa aaa
Aaj gagan ne chanda dekha
Aaj phool ne hansna seekhaa
Deep se deep jale aasha ke
Ghar aangan man bhaaya re
Mera nanha kanhaiyaa ghar aaya re
Mera nanha kanhaiyaa
Muskaata jab shyam salona
Hansta ghar ka kona kona
Muskaata jab shyam salona
Hansta ghar ka kona kona
Pulkit tan hai muklit man hai
Aanchal mera lahraaya re
Mera nanha kanhaiyaa ghar aaya re
Mera nanha kanhaiyaa
Ghutnon ke bal chale chabeela
Aanchal pakde kabhi hatheela
Ghutnon ke bal chale chabeela
Aanchal pakde kabhi hatheela
Laal laal le tujhko paakar
Maine sab kuchh paaya re
Mera nanha kanhaiyya ghar aaya re
Mera nanha kanhaiyya
Tu vasant tu sharad suhaawan
Tu phagun hai tu hi saawan
Tu vasant tu sharad suhaawan
Tu phagun hai tu hi saawan
Hari ke vardaanon ki tujhpar
Rahe khushi ban chaaya
Mera nanha kanhaiyya ghar aaya re
Mera nanha kanhaiyya ghar aaya re
Mera jiyaa sahaj harshaaya re
Mera jiyaa
Mera jiyaa sahaj harshaaya re
Mera nanha kanhaiyya ghar aaya re
Mera nanha kanhaiyya.
| Movie | Bhabhi Ki Chudiyan |
| Singer | Lata Mangeshkar |
| Director | Srinivas Joshi, Y.G. Joshi |
| Music Composer | Sudhir Phadke |
| Lyricist | Pandit Narendra Sharma |
| Star Cast | Master Aziz, Seema Deo, Durga Khote, Sailesh Kumar, Meena Kumari, Sulochana Latkar, Om Prakash, Ratnamala, Balraj Sahni |
| Label | Saregama |

