Jab lage traffic mein jaam si
Mile fansi lehron mein naav si
Zindagi jab lage paheli
Haath mein kabhi aur kabhi fisalti
Bhoolna na baat yeh chhoti si
Gungunati dhoop ya ho sard hawaayein
Main hoon tere liye
Raat chaandni ya ho gum fizaayein
Main hoon tere liye
Jab kabhi yeh dil hai haara
Naam tera hi isne pukaara
Zindagi jo ho samandar meri
Tu samandar tu hai kinaara
Maa kasam jaise tu muskuraaye
Dil mera bhi sang gungunaaye
Befikar ho tu zara jhoom jaana
Main hoon tere liye
Kal ka hoga kya, zara bhool jaana
Main hoon tere liye
| Singer | Hamsika Iyer, Nakul Chugh |
| Director | Nicholas Kharkongor |
| Music Composer | Aditya Narayan Jha, Nayantara (Aditya - Nayantara), Aditya (Aditya - Nayantara) |
| Lyricist | Suresh Bhatia |
| Star Cast | Mona Singh, Mihir Ahuja, Angira Dhar |
| Label | Sony Music India |
