Koi Dard Hamara Kya Samjhe Lyrics | Rangeeli | Lata Mangeshkar | Chic Chocolate

Koi Dard Hamara Kya Samjhe Lyrics | Rangeeli | Lata Mangeshkar | Chic Chocolate

Koi dard hamara kya samjhe
Koi haal hamara kya jane
Koi dard hamara kya samjhe
Koi haal hamara kya jane
Is dil me kya kya armaa the
Wo jaan se pyara kya jane
Is dil me kya kya armaa the
Wo jaan se pyara kya jane
Koi dard hamara kya samjhe
Koi haal hamara kya jane

Ek aash bandhi thi tut gayi
Haye tut gayi
Haye kismat humse ruth gayi
Haye ruth gayi
Kyu chamka tha kyu tut gaya
Takdir ka tara kya jane
Kyu chamka tha kyu tut gaya
Takdir ka tara kya jane
Koi dard hamara kya samjhe
Koi haal hamara kya jane

Gam ki kaali raate hogi
Raate hogi
Diwaro se baate hogi
Baate hogi
Ae darde mohabbat kya hoga
Anjam hamara kya jane
Ae darde mohabbat kya hoga
Anjam hamara kya jane
Koi dard hamara kya samjhe
Koi haal hamara kya jane
Is dil me kya kya armaa the
Wo jaan se pyara kya jane
Koi dard hamara kya samjhe
Koi haal hamara kya jane

MovieRangeeli
SingerLata Mangeshkar
DirectorNajam Naqvi
Music ComposerChic Chocolate
LyricistRaja Mehdi Ali Khan
Star CastRaj Kumar, Rehana, S Nasir, Leela Mishra, Yaqub

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *