Jina Yaha Marna Yaha Lyrics | Mera Naam Joker | Mukesh | Shankar-Jaikishan

Jina yaha marna yaha iske siva jana kaha – 2
Ji chahe jab hamko aawaj do
Ham hai wahi ham the jaha
Apne yahi dono jaha
Iske siva jana kaha

(Ye mera geet jivan sangit
Kal bhi koi dohrayega) – (2)
Jag ko hasane bahrupiya
Rup badal fir aayega
Swarg yahi nark yaha
Iske siva jana kaha
Ji chahe jab hamko aawaj do
Ham hai wahi ham the jaha
Apne yahi dono jaha
Iske siva jana kaha

(Kal khel me ham ho na ho
Gardish me tare rahenge sada) – (2)
Bhulenge ham bhuloge tum
Par ham tumhare rahenge sada
Rahenge yahi apne nishan
Iske siva jana kaha
Ji chahe jab hamko aawaj do
Ham hai wahi ham the jaha
Apne yahi dono jaha
Iske siva jana kaha
Jina yaha marna yaha iske siva jana kaha

MovieMera Naam Joker
SingerMukesh
Music ComposerShankar-Jaikishan
LyricistShailendra

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *