Jab Se Maine Dil Lagaya Lyrics | Dost | Talat Mahmood, Madhubala Zaveri | Hansraj Behl

Jab Se Maine Dil Lagaya Lyrics | Dost | Talat Mahmood, Madhubala Zaveri | Hansraj Behl

Jab se maine dil lagaya dil kahin lagta nahi
Ae mohabbat wo jaha hai tu mujhe le chal wahi
Le ke jaau main kahan ruswayiyo ka kafila
Haye kafila haye kafila
Khatam hoga jane kis din do dilo ka faasla
Haye faasla haye faasla
Aarzue dil ki sari khak ho kar rah gayi
Jab se maine dil lagaya dil kahin lagta nahi

Jee na rone se bahlta hai na ab fariyaad se
Fariyaad se
Fariyaad se
Dil na gham kuch aur badh jata hai un ki yaad se
Haye yaad se haye yaad se
Aur unko bhul jana bhi mere bas me nahi
Ae mohabbat wo jaha hai tu mujhe le chal wahi
Mujh se kismat bhi khafa hai aur wo bhi hai juda
Haye hai juda
Haye hai juda
Pyar ki pahli kiran chamki to suraj dhal gaya
Haye dhal gaya
Haye dhal gaya
Meri duniya me andhere ke siwa kuch bhi nahi
Jab se maine dil lagaya dil kahin lagta nahi

MovieDost
SingerTalat Mahmood, Madhubala Zaveri
DirectorRajendra Sharma
Music ComposerHansraj Behl
LyricistAsad Bhopali
Star CastSuresh, Usha Kiran, Om Prakash

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *