Ek main aur ek tu
Ek main aur ek tu
Seeti ki surili guftghu
Tara ti tara ti tara ruu
Tara ti tara ti tara ruu
Ek main aur ek tu
Seeti ki surili guftghu
Tara ti tara ti tara ruu
Tara ti tara ti tara ruu
Chhat pe baithe pancchi ne
Pukaara thaa
Humne samja seeti ka
Ishara thaa
Chhat pe baithe pancchi ne
Pukaara thaa
Humne samja seeti ka
Ishara thaa
Dil tarah tarah ke soor lagata hai
Jaan bujh ke fareb khata hain
Tere koch mein kab aayi aabaru
Ek main aur ek tu
Aye seeti ki surili guftghu
Tara ti tara ti tara ruu
Tara ti tara ti tara ruu
Saans tez hain bukhar to nahi
Nabz dekhana hi pyar to nahi
Saans tez hain bukhar to nahi
Nabz dekhana hi pyar to nahi
Pyar mein ajeeb ye rivaaz hain
Rog bhi wahi jo ilaaz hain
Baar baar marne ki hain aarzoo
Ek main aur ek tu
Aye seeti ki surili guftghu
Tara ti tara ti tara ruu
Tara ti tara ti tara ruu
Tum ho aur nadi ka ek kinaara ho
Sama tumhari baato jaisa pyara ho
Tum ho aur nadi ka ek kinaara ho
Sama tumhari baato jaisa pyara ho
Khwaisho ki aag taape raat bhar
Bas tumhara naam jaape raat bhar
Door ik fakeer gaaye allah hoon
O ek main aur ek tu
Aye seeti ki surili guftghu
Tara ti tara ti tara ruu
Tara ti tara ti tara ruu
Tara ti tara ti tara ruu
Tara ti tara ti tara ruu.
| Movie | Daayraa |
| Singer | Hariharan, Jaspinder Narula |
| Director | Amol Palekar |
| Music Composer | Anand Shrivastav, Milind Shrivastav |
| Lyricist | Gulzar (Sampooran Singh Kalra) |
| Star Cast | Nirmal Pandey, Sonali Kulkarni, Faiyyaz, Rekha Sahay, Nina Kulkarni, Haidar Ali, Nandu Madhav, Nagesh Bhonsle, Rekha Sabnis, Sanjay Sharma, Kalyani Karandikar, Ganesh Yadav, Shezaad, Brijesh Singh, Rajiv Mohanty, Ravi Gossain, Hiraial Jain, Mithali Kamat |
| Label | Saregama |

