Duniyawaale Bhi Kya Yaad Karenge Lyrics | Jurm (1990) | Manhar Udhas, Sadhana Sargam | Rajesh Roshan

(Jo ho gaya so ho gaya, kya usaka ghum jo kho gaya – (2)
Hum tum ek duniya aabaad karenge
Duniyawaale bhi kya yaad karenge – (2)) – (2)

Khatm jahaan ho saare raste wahin se rasta banaale – (2)
Naya safar humsafar naya haim hum nayi manjil dhund nikaale
Khaabon ki jannat aabaad karenge
Duniyawaale bhi kya yaad karenge – (2)
Jo ho gaya so ho gaya, kya usaka ghum jo kho gaya – (2)

Waqt ka kaanta kab rukata hai, chalata hai yeh chalata rahega – (2)
Jo kal bita usaka ghum kya aaj hai apana apana rahega
Hum milake ghum ko barbaad karenge
Duniyawaale bhi kya yaad karenge – (2)
Jo ho gaya so ho gaya, kya usaka ghum jo kho gaya – (2)

Hum dono anjaan the kal tak, aaj magar ek jaan huye hain – (2)
Pyaar ki thandi aanch mein tapkar hum pure insaan huye hai
Khushiya deke sabako shaad karenge
Duniyawaale bhi kya yaad karenge – (2)
Jo ho gaya so ho gaya, kya usaka ghum jo kho gaya – (2)
Hum tum ek duniya aabaad karenge
Duniyawaale bhi kya yaad karenge – (2)

MovieJurm (1990)
SingerManhar Udhas, Sadhana Sargam
Music ComposerRajesh Roshan

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *