Banvara Mann Dekhne Chala Ek Sapna Lyrics | Hazaaron Khwaahishen Aisi | Shubha Mudgal | Shantanu Moitra

Refrain
Banvara mann dekhne chala ek sapna – (2)

Banvare se mann kee dekho, banvaree hain bate – (2)
Banvaree see dhadkane hain, banvaree hain sansein
Banvaree see karvaton se nindiya too bhage
Banvare se nain chahe, banvare jharokho se
Banvare najaro ko takna

Banvare se iss jahan me, banvara ek sath ho
Iss sayanee bhid me, bas hathon me teraa hath ho
Banvaree see dhun ho koyee, banvara ek rag ho – (2)
Banvare se pair chahe, banvare tarano ke
Banvare se bol pe thirakna

Banvara sa ho andhera, banvaree khamoshiya – (2)
Thartharatee lau ho maddham, banvaree madhoshiya
Banvara ek ghungta chahe, haule haule bin bataye – (2)
Banvare se mukhde se sarakna

(Refrain) – (4)

MovieHazaaron Khwaahishen Aisi
SingerShubha Mudgal
Music ComposerShantanu Moitra

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *