Baadalo se kaat-kaat ke kaagazo pe naam jodna
Baadalo se kaat-kaat ke kaagazo pe naam jodna
Yeh mujhe kya ho gaya are ye mujhe kya ho gaya
Doriyo se baandh-baandh ke raat bhar chand todna
Yeh mujhe kya ho gaya
Ye mujhe kya ho gaya
Ek baar tumko jab baraste paaniyo ke paar dekha tha
Yu laga tha jaise gungunaata ek aabshaar dekha tha
Ek baar tumko jab baraste paaniyo ke paar dekha tha
Yu laga tha jaise gungunaata ek aabshaar dekha tha
Tab se meri nind me barasti rehti ho
Bolti bahut ho aur hansti rehti ho
Jo tujhe jaanta na ho usase tera naam poochhna
Yeh mujhe kya ho gaya
Ye mujhe kya ho gaya
Ye mujhe kya ho gaya
Dekho yu khule badan tum
Dekho yu khule badan gulabi sahilo pe aaya na karo
Tum namak bhare samundaro me is tarah nahaya na karo
Sara din chandni si chhaayi rehti hai
Aur gulabi dhoop baukhlayi rehti hai
Jaamno ki naram daal pe naakhuno se naam khodna
Yeh mujhe kya ho gaya
Ye mujhe kya ho gaya
Baadalo se kaat-kaat ke kaagazo pe naam jodna
Doriyo se baandh-baandh ke raat bhar chand todna
Yeh mujhe kya ho gaya
| Movie | Satya |
| Singer | Bhupinder Singh |
| Director | Ram Gopal Varma |
| Music Composer | Vishal Bhardwaj |
| Lyricist | Gulzar |
| Star Cast | Urmila Matondkar, Manoj Bajpai, Chakravarthy, Govind Namdeo, Paresh Rawal, Saurabh Shukla, Makrand Deshpande, Shefali Chhaya, Raju Mavani, Aditya Srivastav, Neeraj Vora, Rajesh Joshi, Sabir Masani, Snehal Dhabi, Jeeva, Sanjay Mishra, Jyoti Dogra, Rajeev M |

